INTERNET KA MAYAJAAL
Kaisi hai ye science ki maya,
Har taraf bus internet hai chaya,
Jis se kabhi nahi bharta aadmi ka pet,
Aisi hi bhayankar bala ka naam hai internet,
Aaj har aadmi iske changul me fas chukka hai,
Bacha bacha bhi aaj sirf internet ka bhukha hai,
Pehle aadmi choupalo par taash khelta tha,
Rishtedaro se milne me bhi musibate jhelta tha,
Gali mohallo me hoti thi chahal pahal aur shor,
Sabhi rehte the hil mil kar bandhe prem ki dor,
Lekin ab wo mahol kahi par kho gaya hai,
Kyuki aaj aadmi FACEBOOK ki god me so gaya hai,
Internet par youths chatting karte hai,
Computer par hi ghar bethe setting karte hai,
Kuch to itne shane hote hai bhai sahab,
Dusro ko behkane ka dekhte hai khwab,
Ladki ladke ke naam se, ladka ladki ke name se karta hai baate,
Aise hi prank baato me nikal jati hai raate,
Ashlilta ka karobar bhi isi se faila hai,
Kisi ki soch maili hai to kisi ka charitra hi maila hai,
Cyber crime ka pure world me bolbala hai,
Is se bachane wala na to ram hai, na hi nand lala hai,
Jo bigad raha hai manav ke sanskar,
Nahi chahiye science ka aisa chamtkar,
Mai to kehta hu k internet wo laddu hai, jo khaye pachtaye
Jo na khaye wo bhi pachtaye, koi bhi is se bach nap aye……….
FOR MY
READERS:-if you
have any query, suggestion, feedback or complaint, then please feel free to
contact me any time.
PIYUSH
VIJAYVARGIYA
MOB; -
9571021201
No comments:
Post a Comment