Mr. Nitin Kumar Dhiman
Good evening, frnds.... J
Aaj ka mera blog ek aisi special & great personality ko
aapse rubru krane ja rha h, jinhone apne
aap ko ek aise mukam ki aur inspire kiya h jiski aaj har ek youngster ko
jarurat h and jise pane k liye insaan me us had tak pagalpan b chahiye...... to
ab zyada suspense create na krte hue mai us dynamic persona, amazing
personality ka name lena chahunga, badshaho k badshah, sarva shaktiman
he is none other than........
MR. NITIN KUMAR DHIMAN
Auto biography :- Nitin kumar dhiman Himachal Pradesh ke ek chote se kasbe
me paida hue the. Gaav me hi primary education puri ki thi. Ek middle class
family se belong karne wala ek aam insaan jo bilkul aapke and meri tarh dikhai
deta tha. Family background ki baat karu to unke father ek executive engineer h
jinki dil ki chahat bhi nitin sir ko engineer bnane ki hi thi and mother ek
house wife thi. Papa ki chahat ko pura krne k liye wo bhi jaipur k ek
engineering college me chale gye.
Yha se shuru hoti hai inki kahani- jaisa ki hum sb jante h ki aajkal
engineering,CA professional course k sath sath hi educational market b ban
chukka h..... jha pr har student ke sir pr % ki talwar latki hui h, projects
and assignments se students mentally pressure me aa jate h and fir aadhe se
zyada student ke paas sucide k alawa aur koi rasta nazar nahi aata h.
Lekin nitin sir ke papa ne unhe ek hi baat boli-“beta, tu
only engineering ki degree lakar de dena, fir naukri lagwana mera kaam h. “ Bus
isi karan se wo ek dum dabang student ban gye, kisi tarah ka koi tenson nhi, degree and
percentage ka kisi tarah se koi pressure nahi tha. Unki life ek dum aaram se
kat rhi thi.
Ek din koi ek banda kisi network marketing company se related
topic lekar sir ke friend ke paas aaya. Jaise hi unki baatchit start hui,wo
banda bata rha tha k kaise kaam karna h and kaise paise aayega. Us time to sir
ko bhi in sabke bare me kuch pata nahi tha, wo bhi razai ke andar se sab kuch
sun rhe the and muskrate hue soch rhe the k ek murga aur fas gya hai. Fir jab
us bande ne btaya k aap is se ek week ke 2 lac rs kama sakte ho to sir ka dimag
kharab ho gya and bahar nikal kar us bande se sb kuch pucha and har tarah se
satisfied hokar wo bhi is kaam ko krne k liye teyar ho gye.
Puri tarah se excited hokar agle din jab unhne apne 15-20
friends ko is plan ke bare me btaya to sb frnds ne unka mazak udaya. Pure saal
bhar friends ke jo daant nazar nhi aaye, ye sunkar wo bhi nazar aa gye. Unhone
sir ko smjhaya k aisa kuch nhi hota h,koi paise waise nhi aate hai,sab bevkuf
bnate hai. J nitin sir bhi sochne lge k yr ye sab aisa kyo bol rhe hai.
Jo banda kal tak itna excited hokar fir rha tha wo sochne laga k week ke 2 lac
nhi to monthly 5000 rs to aa hi jayenge.
Is chote se amount ke liye and jin logo ne sath dene se mana
kiya tha unko jawab dene ke liye puri siddat ke sath kaam krna start kiya.
Friends mazak udane lage and unse dur dur rhne lage, par in sbse nitin sir ko
koi fark nhi padta tha.
Logo ki perwah kiye bina wo kaam karte rhe and 3 mahine ke
andar unhne apne khud k paise se 52000 rs ki bike purchase ki. Wo bike college
me park karte time unhe itni khushi hoti thi jitni kbhi nhi hui thi.kyuki baki sb bikes unke baap ki thi,but ye
bike apne aap ki thi.
Bike lena koi badi achievement nhi thi but is se unko aage
kaam karne ki aag lagi and socha ke mai itna kar sakta hu to aage bhi kuch na
kuch kar hi lunga. Engineering ke 4th year ki starting me wo apne
college me khud ki 8.25 lac ki FORD FIESTA se enter hue. Jis time baki k
students packages pane ke liye struggle kar rhe the, us time ek simple sa
engineering student khud ki car me with driver aane laga tha.
Aaj nitin sir ka network almost 12000 logo ka hai . badi bdi
university ke students nitin sir se managements ke tips lene aate hai. Direct
selling industry se sir 4 saal me 3 crore rs kama chuke hai and ek luxurious
life enjoy kar rhe hai........
In short aaj ke time me sapne sabhi dekhna pasand karte hai
and aage badhna bhi chahte hai lekin kisi ke paas proper platform nhi hota hai
ya fir koi sapno ki duniya ko sach karne k liye us had tak kaam nhi kar pate
hai. Har koi aaj duniya ki dekha dekhi me ya to engineering ke piche pade hai
ya fir CA ,chahe us field me unka koi interest ho ya nhi ho. pAr ek baat smjh
leni chahiye k
“agar tum wahi krte rhoge jo log krte aaye hai to tumhe bhi whi milta
rhega jo logo ko milta aaya hai, agar tum chahte ho k tmhe kuch naya mile to
tmhe kuch naya karna bhi padega.....”
“if you want something that you never had before,
You have to do something that you never done before”
BEST OF LUCK FOR YOUR FUTURE
No comments:
Post a Comment