Saturday, 29 June 2013

my latest poem



POEM:- SAMAJ KI BURAIYA
Aaj ke is samaj ki buraiya,badha rhi manav ki kathinaiya,
Manav apne swarth ke piche andha ho gaya hai,
Apne imaan ko bech khana ab ek dhandha ho gaya hai,
Pure desh me badh rahi bhrastachar ki mahamari,
Kahi par riswatkhori to kahi hai kalabazari,
Naukriyo me bhi bhai-bhatijawaad apna rhe hai,
Apne rishtedaro ko hi ye naukri dilwa rhe hai,
Yogya yuvak dar-dar ki thokre kha rhe hai,
Mar-mar ke bachi khuchi zindgi bita rhe hai,
Aarakshan ki samasya bhi sar par nach rhi hai,
Yogya yuvko ko naukri ki nahi aas rhi hai,
Kai doctors, engineers ko nahi mil rha hai rojgar,
Degree le lekar bethe hai sab bekar ,
Bhagwan ke naam par bhi lootpaat karte hai log,
Kya ab bhagwan se bhi nahi darte hai log ?
Fashion ke rang me ladkiya gayi hai itna rang,
Inko dekh kar duniya ho rhi hai dang,
Kam kapde ladkiya pehan rahi hai,
aur badnam mahan bharat desh ko kar rhi hai,
samajik pradushan to ye f-tv channel faila rha hai,
ashlil chalchitra ki ek alag hi duniya chala rha hai,
aaj mobile har kisi ke paas milta hai,
aadhe se zyada me ashlil chalchitra hi chalta hai,
Ye log hi kar rhe hai bhartiya sanskriti ka daman,
Inke sudhar se hi felegi shanti aur aman,
Ye zimmedari sabhi bharatvasiyio ko leni hai,
In sari samasyao ko jad samet ukhad fekni hai,
In sabke liye jab ek honge hindu musalman,
Tab duniya me number one hoga hamara hindusthan !!!
JAI HIND
FOR MY READERS:- If you have any query, suggestion, complaint or feedback regarding to this blog, feel free to contact me any time
PIYUSH VIJAYVARGIYA
MOB-9571021201
EMAIL-piyushvjrocks@gmail.com

No comments:

Post a Comment